Disclaimer : The poem is purely fictional and not related to any person dead or alive. If any resemblance to anyone is found, write another poem like this and add this Disclaimer on top of it! :-)
Aaj meri project team mein, eek nayi ladki aayi hai
Usne team ke sabhi ladkon ki, soyi ummeeeden jagai hain.
Shruwaat mein to doston, relations the bade professional
Dheere dheere, mujhe iccha huyi, baat karu main kuch personal.
Technically to pata nahi, par beauty mein to woh strong hai,
Aisi khoobsurat ladki ki help karne mein kya wrong hai?
Haalat aisi huyi meri kharaab, doston kya bataun main tumhe,
Pakki duffer nikli wohi, aur bade irritating the woh lamhe.
Ek minute discussion ka, lagta hai jaise ek saal,
Frustration itni badh jaati hai, ki kheench lun apne baal!
Das baje aati hai woh, 5.30 ko chali jaati,
Kaam khud se kuch na kare, sab kaam mujh se karvati!
Kaam saara maine kiya, credit ki woh nikli chor,
Isliye appraisal ke time pe, doston, ho gaya main ignore.
Uske peeche barbaad hue sab type ke projects,
Fir bhi rehti hai woh on top of boss's list of favourites..
Jaise taise, mar mar ke, complete kiya technical project,
Saath hi mere personal interests ko, usne berehami se kiya reject.
Is haadse ke baad, IT companies ki har ladki se main darta hun
Project team mein koi ladki na aaye, bas yehi dua main karta hun.