Khayalon ki Coffee

One fine evening, I was making some coffee while thinking about all the miseries in life. It was raining outside and the weather was just perfect to make my mind write down something!
The outcome is quoted below :


Title : Khayalon ki Coffee

Yaadon ke patile main, Samay ki aanch par
Dheere dheere khayalon ki, coffee bana raha hoon!


Door tak, der tak, paidal chale the jo saath hum,
Un Gujari-dhundhli yaadon pe, paani faila raha hoon.

Woh doston se baatein, Woh nostalgic Raatein,

Woh khushi ke pal me chhupe, sugar cubes mila raha hoon.

Sar par hai tension, par Dil mein hai ambition,
In Motivational Coffee beans ka main, powder bana raha hoon.

Kuchh haseen lamhon ko, kuch udaas palon ko,
Maturity ki chamach se, ek saath mila raha hoon.

Zeevan ke is safar mein, ban gaye jo hamsafar,
Un hamraahiyo ko is coffee ke kuchh ghoonth pila raha hoon.

Yaadon ke patile main, Samay ki aanch par
Dheere dheere khayalon ki, coffee bana raha hoon!


2 comments:

  1. khayalo ka pulav suna tha...yeh khayalo ki coffee pehli baar suni...

    ReplyDelete
  2. Wow, english words ka hindi words ke sath rhyme.
    This is just amazing :P

    ReplyDelete