Main Aur mere Roommates....

This Poem is dedicated to Our dirty House, My roommate, Mr. Mosquito and his Families, and the all the heap of stuffs over which I am sitting while writing this blog...



Main Aur mera roommate
 
Aksar Yeh Baatain Kiya Karte Hain

Ghar saaf hota to aisa hota

Hum saaf rehte to kaisa hota...


Main kitchen saaf karta,tum bathrooom dhote
Main hall saaf karta, tum balcony dekhte

Log is baat pe hairaan hote

Aur us baat pe haste


Yeh hara bhara sink hai

Aur bartanon ki jang chidi hui hai

Yeh color full kitchen hai

Ya masaalon se holi kheli hai


Hai farsh ki hai nayi design

Ya yeh dhuli hui hai doodh aur beer se,

Yeh airfreshner ka naya flavour hai,
Ya fir dardnaak badboo aati dustbin se..

Yeh sochta hun main kab se gum sum,

Ke machhar nahi hai, kaheen nahi hai,

Magar mera dil hai ke keh raha hai

Machhar yaheen hai, yaheen kaheen hai !


Toand (Pot-Belly) ki hai ye haalat, meri bhi hai, uski bhi..

Exercise karne ka decide to karte, par roj subah uthne ka nahi hai dum

Guitar bhi sikhna hai, Books bhi padhni hai,

Karne ko bohut kuch hai magar kab kare hum..


Dil kahta hai koi ek aakar room mein bikhra saamaan jama de.

Ye Carpet jo jeene ko joonzh raha hai, fikwa de!

Safai se rehne ke fayde, hamein bhi jata de

Hum Safai mein rahe sakte hain, logon ko bata de!


Main aur mere roommates

Aksar Yehi Baatain Kiya Karte Hain !

5 comments:

  1. Dude, seriously awesome. Looking forward to more of these :-)

    ReplyDelete
  2. hi nilay,
    thanks for the comment on my blog...i liked the poems on your blog...its an another version of what i wrote in my blog...humor in life...:)keep up the good work...

    ReplyDelete